Wednesday, July 10, 2013

Pyaar ka Izhaar

Tere aane se meri zindagi mein ek khumaar sa aaya
tere muskurane se mere dil mein ek karar sa chaya
tujhse milne ke baad zehen mein bas yahi aaya
ki aaj zindagi mein pehli baar hum par pyaar ka nasha hai chaya. 

Teri zulfon ka yun ud jaana
jaise hawa mein toote patte ka chatpatana
teri aankhon ki shararat kuch aisi
jaise chanchal kisi koyal ka ye geet gunguna. 

Tere gaalon ki ye laali

jaise shaam ke dhalte suraj ki ye roshni
tera is tarah dabe paon aana
jaise sharma kar dulhan ka ghunghat mein chup jaana

Kuch is kadar tera junoon hum par hai chaya
khushnaseeb hain hum ki aap jaisa koi meri zindagi mein aaya. 
taqdeer ne aapko aur humein kuch yun milaya
ki aaj zindagi mein pehli baar hum par pyaar ka nasha hai chaya.

No comments:

Post a Comment